Warren Buffet ka janam 30 august 1930 ko America ke Nebraska mai hua tha.
Warren Buffet ka pura naam (Warren Edward Buffet) hai, unke peeta ka naam Howard Buffett tha aur Mata ka naam Leila Buffet tha.
Warren Buffet ka pura naam (Warren Edward Buffet) hai, unke peeta ka naam Howard Buffett tha aur Mata ka naam Leila Buffet tha.
Warren k peeta Howard Buffet bhi share bazzar k karobaari the jisse warren ko suru se hi saving aur investment ki prenna milti rahi. Warren ko business aur paise kamane ka shok bachban se tha 11 saal ki umar mai jab sab bache khelne mai dhyaan dete hai, warren ghar ghar jaa k newspaper dete the aur mahine k karib 180 dollar kamte the, wo jo bhi kmate the unko wo invest kar dete the kahi n kahi. Aur 14 saal ki umar tak mai unhone 1 zameen bhi kharid li thi, College tak aate aate
unhone 80,000 dollar save kar liye the jo k uss samay k hisaab se bht bht jaada the. Warren Buffet ne share bazzar ki jaankari Benjamin Graham k yaha kaam kar k li thi, Benjamin Graham bhi ek bht ache share bazzar k khiladi the, Warren Buffet aaj bhi apni kaamyabi ka shai Benjamin Graham ko dete hai. Warren ne apni jaada tar jaidad daan kardi hai, Warren buffet ne 2006 mai apni company (Berkshire Hathaway) k 1 crore share (Bill & Melinda Gates Foundation) ko de diye jiski kimat 23 june 2006 ko 30.7 aarab ameriki dollar tha, ye itihaas ka sabse bada daan tha.

warren buffet ne 1952 mai susan thompson se shadi ki unko 3 bache hue, 1977 se leila aur warren alag alag rahne lage, 2004 mai susan ki mout ho gai tab tak Warren shadi shuda hi the, uske baad 2006 mai warren ne Astrid Menks se shadi karli, aaj warren buffet ek bht bade kamyab insaan toh hai hi us k sath sath ek motivational speaker bhi hai.
dosto ye story maine hinglish mai likhi hai, hum logo ko chat karte karte hinglish ki aadat ho chuki hai isiliye maine ye story hinglish mai likhi hai apko meri ye post pasand aai toh comment kar k btai aur post ko share kare.
Comments
Post a Comment