Hello Dosto Namaskar, July ka mahina aa gya hai Matlab k hamara sabse manpasand tyohar Ganesh Chaturthi aa rahi hai agar app Mumbai mai rahte ho toh apko pta hi hoga k Mumbai mai Ganesh Chaturthi kitne dhoom dham se manai jati hai, aur Mumbai k bade bade Ganpati mandal jaise ki Chinchpokli cha Chintamani, Fort cha Raja aise hi bahut se group ka jab Ganpati aagman hota hai tabhi lakho k sankhya mai log ganpati ji k darshaan karne aate hai, usme ek main cheez logo ko apne aur aakarshit karti hai wo hai Puneri Dhol Tasha Pathak inka ek apna group hota hai jisme bache ladkiya aur ladke hote hai jo k dhol bajate hai jisse dekh bahut hi anand milta hai aur har kisi ka nachne ka maan karta hai. inke group mai 40 se 50 log hote hai isse jaada bhi ho sakte hai, ye log bht hi professional hote hai bahut hi practice ki hoti hai iss cheez ki. Dosto agar apko bhi apne group ki ganpati k liye yeh dhol krana ho to mai niche kuch famous Dhol Tasha Pathak k...
Warren Buffet ka janam 30 august 1930 ko America ke Nebraska mai hua tha. Warren Buffet ka pura naam ( Warren Edward Buffet ) hai, unke peeta ka naam Howard Buffett tha aur Mata ka naam Leila Buffet tha. Warren k peeta Howard Buffet bhi share bazzar k karobaari the jisse warren ko suru se hi saving aur investment ki prenna milti rahi. Warren ko business aur paise kamane ka shok bachban se tha 11 saal ki umar mai jab sab bache khelne mai dhyaan dete hai, warren ghar ghar jaa k newspaper dete the aur mahine k karib 180 dollar kamte the, wo jo bhi kmate the unko wo invest kar dete the kahi n kahi. Aur 14 saal ki umar tak mai unhone 1 zameen bhi kharid li thi, College tak aate aate unhone 80,000 dollar save kar liye the jo k uss samay k hisaab se bht bht jaada the. Warren Buffet ne share bazzar ki jaankari Benjamin Graham k yaha kaam kar k li thi, Benjamin Graham bhi ek bht ache share bazzar k khiladi the, Warren Buffet aaj bhi apni kaamyabi ka shai Benjamin Graham ko dete h...